Posts

wo_ya_mai

Poore ghar ko andheron se jaga kar rakhta tha, Najane kyu wo diye bujha kar rakhta tha.... Wo titaliyon ke sath geet gungunaya karta tha, Is bahane gulon ko dara kar rakhta tha.... Najane kon chala aaye waqt ka mara, Wo darwazon se,kundiyan hata kar rakhta tha.... Badi shiddat thi aashiyan banane ki uski, Par naksha hamesha chhipa kar rakhta tha... Uske fisalne ki wajah bhi shayd yahi thi yaron, Ki har kadam wo bahut aazma ke rakhta tha.... Garg

Next level

Koi pooche haal to muskura liya karta hun... Mana uljhane hain bahut,par suljha liya karta hun.. Han thodi si udaasi jhalak jati hai chehre se.. Par dil me jo hota hai,chhipa liya karta hu... Ab intezar nahi hota ki koi sune dastaan meri... Utha kar kalam khud ko suna liya karta hu... By Sahil Garg 7-12-2019

Ending_year

Sab kuch waisa hi hoga ,bas ek saal badlega... Parindey fir se quaid me honge, Bas shikari jaal badlega... Mitti ke log au r pathhar ho jaenge... Naazane kitne salo me, hamara haal badlega.. By Sahil Garg 7-12-2019

#truth

Kon kehta hai hmari fikar nahi hai unko, Zara hamein beemar to hone do.... Phone bhi ayega,maafi bhi hogi, Zara hame fir se naraaz to hone do... #by Sahil Garg #dedicated

#bangalore2

Bada anzan hai ye shehar yaha kabhi raat nahi hoti, Kya acha kya bura iski kabhi bat nahi hoti... Yuh to bheed bahut hai is chhote se shehar mein, Par jab jisse chahiye,mulaqaat nahi hoti... Band kamro me jeete hai  aksar log yaha zindagi, Bin matlab ke ,dosti ki yha shuruaat nahi hoti #banglore By :- Sahil Garg

Deep_feelings

Kal usne phone kiya , aaj maine.. Uthaya dono ne nahi... Mohobbat ek doosre se kitni hai... Bataya dono ne nahi... Ab kya kahu is kadar ki gayi dosti ko... Rulaya dono ne ek doosre ko, Par bhulaya dono ne nahi... Kabhi wo meri gali se guzri kabhi mai uski gali se nikla... Chahte dono they magar,bulaya dono ne nahi.. Mera dil uske,or uska mere paas reh gaya... Hum yuhi mukkammal they lautaya dono ne nahi... Note:- sabhi patra kalpanik hai

Hypothtical

Gar ishq hai kisi se,to beshumar hona chahiye!! Ho talab to kuch aisi ki, Deedar hona chahiye!! Ki kisi ki yado me jo yuhi beet jaye, Esa bhi kabhi koi, itwar(sunday) hona chahiye!! Gar hai raftaar me dhadkane dilo ki to sun lo, Chehre se bhi apko beemar hona chahiye!! By sahil garg Note:- (in lines ke sabhi patra kalpanik hai jinka mere jeevan se koi sambandh nahi hai)