wo_ya_mai
Poore ghar ko andheron se jaga kar rakhta tha,
Najane kyu wo diye bujha kar rakhta tha....
Wo titaliyon ke sath geet gungunaya karta tha,
Is bahane gulon ko dara kar rakhta tha....
Najane kon chala aaye waqt ka mara,
Wo darwazon se,kundiyan hata kar rakhta tha....
Badi shiddat thi aashiyan banane ki uski,
Par naksha hamesha chhipa kar rakhta tha...
Uske fisalne ki wajah bhi shayd yahi thi yaron,
Ki har kadam wo bahut aazma ke rakhta tha....
Garg
Comments
Post a Comment